gin ke deta hai bala-noshon ko paimana abhi
vaqa.i bilkul gadha hai pir-e-mai-ḳhana abhi
guftugu karte hain baham jam-o-paimana abhi
qabil-e-tarmim hai a.in-e-mai-ḳhana abhi
ho na kyun-kar vardat-e-qatl rozana abhi
ku-e-qatil men nahin chauki abhi thana abhi
dekhte to hain vo har shai be-niyazana abhi
raal girti hai magar be-iḳhtiyarana abhi
shaiḳh rahte hain sharik-e-bazm-e-rindana abhi
muft milti hai to pi lete hain rozana abhi
kya kahen kis se kahen apne numa.indon ka haal
jaise Daaka marta phirta hai sultana abhi
kaise pahunchen us ke dar tak paanv men taqat nahin
vo hai ludhiyana men aur hai duur ludhiyana abhi
us lab-e-jan-baḳhsh men dekhi nahin jumbish hanuz
vaa.e nakami muqaffal hai shifa-ḳhana abhi
baap ka saaya to bachpan hi men uTTha tha magar
shaiḳh milte hain ba-andaz-yatimana abhi
us ke aage kya haqiqat astin o jaib ki
noch Daale daman-e-mahshar bhi divana abhi
mel to shaiḳh o barhaman men rahe baham magar
gaḌbaḌa.e hai faza-e-firqa-varana abhi
ham ne maana ye ki zahid hai buzurg-o-mohtaram
baat karta hai magar kambaḳht bachkana abhi
kar chuke hain naqd ḳhidmat jabiran-e-qaum ki
de chuke hain bech ke ghar-bar jurmana abhi
dirham-o-dinar ke hamrah aksar besh-tar
jaan ka bhi de chuke hain log nazrana abhi
Leave a Reply