ghussa begana-var hona tha
bas yahi tujh se yaar hona tha
your anger served to alienate
Love, why are you in such a state
kya shab-e-intizar hona tha
nahaq ummid-var hona tha
just waiting, evenings I did pass
why hopeful had to be alas
kyuun na hote aziiz ghair tumhen
meri qismat men khvar hona tha
why wouldn’t rivals, you hold dear
shamed, I was destined to appear
mujh se jannat men vo sanam na mila
hashr aur ek baar hona tha
her, I, in heaven, did not meet
so let now judgement day repeat
gar na thi ai dil us ke ranj ki taab
kyuun shikayat-guzar hona tha
—
—
khaak hota na main to kya karta
us ke dar ka ghubar hona tha
—
—
harza-gardi se ham zalil hue
charkh ka e’tibar hona tha
—
—
marg-e-sham-e-visal-e-hirman hai
subh-dam jan-nisar hona tha
—
—
aur se ham-kanar hai dushman
aaj to ham-kanar hona tha
—
—
shikva-e-dahr par kaha tum ko
afat-e-rozgar hona tha
—
—
chashm-e-be-ikhtiyar-e-janan men
kya mira ikhtiyar hona tha
—
—
sabr kar sabr ho chuka jo kuchh
ai dil-e-be-qarar hona tha
has happened all that had to be
now patience, restless heart, merely
ku-e-dushman men ja pakadta kyuun
kya mujhe sharmsar hona tha
—
—
vo namak-pash bhi nahin hote
yuun hi dil ko figar hona tha
—
—
khaak men haif ye sharab mile
mohtasib bada-khvar hona tha
by spilling thus wine is abused
the censor too should have caroused
na gaya tir-e-nala su-e-raqib
murgh-e-arshi shikar hona tha
—
—
raat din baada o sanam ‘momin’
kuchh to parhez-gar hona tha
wine, women, nights and days enjoyed
should have at times tried to avoid