ghulam vahm o guman ka nahin yaqin ka huun
zamin mera sitara hai main zamin ka huun
vo aur honge parastar taḳht valon ke
main jan-nisar shah-e-boriya-nashin ka huun
savad-e-ruh ke manzar madina jaise hain
ḳhayal aata hai main bhi yahin kahin ka huun
suno ki virse men baTti hui amanat huun
main haraf-e-sidq lab-e-sadiq-o-amin ka huun
bhaTak raha huun ḳhala ke sarab-zaron men
main koi sajda aqidat-bhari jabin ka huun
Leave a Reply