
Saqib Lakhnavi
dil kyuun tapan hai kucha-e-dildar dekh kar
aage baḌhunga charḳh ki raftar dekh kar
ḳhush ho saka na hal-e-dil-e-zar dekh kar
jalta hai ghair meri shab-e-tar dekh kar
samjhe na aap dida-e-ḳhun-bar dekh kar
kya kijiyega hal-e-dil-e-zar dekh kar
sayyad dagh-e-dil na samajhna ki chalte vaqt
gulshan ke phuul laaya huun do-char dekh kar
tai kar ke aaj ḳhana-badoshi ki manzilen
baiTha huun us ka saya-e-divar dekh kar
kuchh kuchh zamana jaan gaya kar-e-husn-o-ishq
mansur ko jahan men sardar dekh kar
vaqf-e-zaban-e-ahl-e-hasad hai lahu mira
ḳhush ho raha huun vadi-e-pur-ḳhar dekh kar
patthar nahin ki tuur ke daur azma.e jaa.en
ai barq-e-husn hal-e-dil-e-zar dekh kar
ab dahr ru-shana-o-vafa-o-jafa hua
mere gale par aap ki talvar dekh kar
mahshar men koi puchhne vaala to mil gaya
rahmat baḌhi hai mujh ko gunahgar dekh kar
hai raushni qafas men magar sujhta nahin
abr-e-siyah janib-e-gul-zar dekh kar
rota huun sham-e-gham men dil-e-gum-shuda ko main
yaad aa rahi hai sham-e-shab-tar dekh kar
chaliye magar ḳhayal rahe umr-e-dahr ka
tham jaa.e asman na ye raftar dekh kar
rota huun vaqt-e-nala guzarne se aur bhi
shab ko tulu-e-sub.h ke asar dekh kar
bas ek din ki baat hai ai ishq-e-la-zaval
main kya karunga misr ka bazar dekh kar
kya tha ki aise vaqt men sahab-dilan-e-hashr
dekha kiye mujhe tiri talvar dekh kar
sad-chak dil ka zikr na bhula main der men
tasbih yaad aa ga.i zunnar dekh kar
TuuTe hain shisha-ha-e-dil itne ki ahl-e-dard
rakhte hain paanv ḳhaak pe sau baar dekh kar
sayyad kis jagah pe qafas hai ki dil mira
dar ho raha hai baagh ki divar dekh kar
in doston men vo na hon yarab jo vaqt-e-did
bimar ho ga.e ruḳh-e-bimar dekh kar
vo kya samajh sakenge nasheb-o-faraz-e-dahr
jo chal rahe hain raah ko hamvar dekh kar
kahte hain dil-lagi miri sham-e-firaq ko
achchha yunhi sahi magar ik baar dekh kar
‘saqib’ ajab nahin ki sar-e-tur-e-imtihan
ghash dil ko aa.e jalva-e-ash.ar dekh kar

Leave a Reply