Umr Ki Rau Badal Gai Shayad

umr kī rau badal ga.ī shāyad

ham se aage nikal ga.ī shāyad

lauh par chand TeḌhe meḌhe ḳhutūt

merī sūrat badal ga.ī shāyad

phir charāġh-e-sutūn-e-dār bujhā

aaj phir maut Tal ga.ī shāyad

mai-kade meñ paḌī hai us kī laash

vo phaTī hañDī chal ga.ī shāyad

sarkashī ḳhud-kashī pe ḳhatm huī

ek rassī thī jal ga.ī shāyad

kuchh nahīñ baaqī ab ba-juz ḳhushbū

kyā javānī thī Dhal ga.ī shāyad

Leave a Comment