bata.en kya amal ishq-e-haqiqi ka kahan tak hai
zamin kya asman tak hai makan kya la-makan tak hai
ta.ayyun se bari ho gar hai la-mahdud ka talib
ki hadd-e-mulk-o-duniya to vahin tak hai jahan tak hai
na ho azad daur-e-charḳh ki halqa-ba-goshi se
tira markuz dil-e-mao-shuma aur in-o-an tak hai
to bismillah ke gumbad men kya hai mo.atakif zahid
sukun-e-ḳhatir-e-muztar havason se amaan tak hai
pahunch sakta hai kab sachchi ḳhushi ko aish-e-nafsani
ki vo to ab-e-ruknabad va ju-e-muliyan tak hai
hai shaiḳh-o-barahman ke diin ki had dair-o-ka.aba tak
savad-e-din-e-ishq-e-be-gharaz kaun-o-makan tak hai
yaqin se aur amal se puḳhtagi paa.i aqidat ne
pahunch teri to ai nadan bas vahm-o-guman tak hai
haqiqat husn ki a.ina tujh par kyunki ho jaati
nazar teri to zulf-o-ḳhal-o-abru-e-butan tak hai
jo hain mast-e-alast un ko ḳhumar-o-sukr ka Dar kya
nigah-e-tishna-kam-e-ishq hi dast-e-mughan tak hai
hasir-e-ishq ko kab daḳhl is mahfil men hai ‘kaifi’
bisat us ki faqat bain-o-buka ah-o-fughan tak hai
Leave a Reply