ghulam sar pe ibadat abhi na rakkhi jaa.e
ḳhuda ke naam baghavat abhi na rakkhi jaa.e
main Thik-Thak to kar luun hasab-nasab apna
lahu pe shart-e-nadamat abhi na rakkhi jaa.e
ki jis ki aanch se jibra.il-e-agahi jhulsen
ana men itni tamazat abhi na rakkhi jaa.e
hamare shahr ki miTTi hai shar-pasand bahut
yahan fasil-e-hifazat abhi na rakkhi jaa.e
bahisht-rang muradon ki ja-namazon par
munafiqon ki siyasat abhi na rakkhi jaa.e
safed-poshi-e-zillat bahut hai jiine ko
sar-e-janab-e-sharafat abhi na rakkhi jaa.e
hamare ḳhuun se ibarat hai shajra-e-tahzib
yahan pe mohr-e-siyadat abhi na rakkhi jaa.e
Leave a Reply