darichon men charaghon ki kami mahsus hoti hai
yahan to phir hava ki barhami mahsus hoti hai
vo ab bhi guftugu karta hai pahle ki tarah lekin
zara si barf lahje men jami mahsus hoti hai
tire va.ade ka saaya ho to sahra ke safar men bhi
jhulasti lau hava-e-shabnami mahsus hoti hai
to kya main zabt ke me.aar par puura nahin utra
to kya meri in ankhon men nami mahsus hoti hai
na jaane teri halat kya hai us ko dekh kar ‘az.har’
mujhe to dil ki dhaḌkan bhi thami mahsus hoti hai
Leave a Reply