• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ghubar-E-Ehsas-O-Pesh-O-Pas Ki Agar Ye Barik Tah haTaen

Ghubar-E-Ehsas-O-Pesh-O-Pas Ki Agar Ye Barik Tah haTaen

ghubar-e-ehsas-o-pesh-o-pas ki agar ye barik tah haTa.en

to ek pal men na jaane kitne zamanon ke aks tharthara.en

ḳhizan agar apna ḳhuun na baḳhshe to fasl-e-gul kaise surḳh-ru ho

sukut apna jigar na chire to kaise jhankar den sada.en

bikhar chale hain bikhar chuke hain gul-e-ibarat ke barg-reze

kitab-e-jan ki shahadaton ka varaq varaq le ga.iin hava.en

hua ki be-rang taḳhtiyon par sada ki tahrir kya ubharen

sukut ke be-nishan khanDar men charagh-e-avaz kya jala.en

ye shauq ki be-nasib kaliyan ye dard ke be-ḳhizan shagufe

tumhare qadmon men rakh na paa.e to kis ki chaukhaT pe ja gira.en

hava ki talvar chal rahi ho to shaḳh-e-ummid kya sambhalen

badan ki divar gir rahi ho to dil ki divar kya bacha.en

tamasha-gah-e-tarab-nishan men sabhi ko lazim hai muskurana

jo gham-faroshi na karna chahen vahi yahan baḳht azma.en

muhib raton men Dagmagate dukhi badan ke musafiron ko

akele-pan men Dara rahi hai samay ke jangal ki saa.en saa.en

tamam alfaz mar chuke hain tamam ahbab ja chuke hain

ga.i ruton ke sitam ka qissa suna.en kaise kise suna.en

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

ahmad-faraz

Har Ek Baat Na Kyun Zahr Si Hamari Lage

sheikh-ibrahim-zauq

Kab Haq-Parast Zahid-E-Jannat-Parast Hai

abdul-hamid-adam

Ek Reza Tere Tabassum Ka

Apne Hi Sajde Ka Hai Shauq Mere Sar-E-Niyaz Mein

poet

Wo Gham Jo Hasil-E-Hasti Hai Mil Chuka Ki Nahin

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet