Ghira Nahin Us Jamal Mein Bhi

ghirā nahīñ us jamāl meñ bhī

kashish thī jis ke ḳhayāl meñ bhī

rahī vahī tishnagī musalsal

firāq sā thā visāl meñ bhī

javāb meñ aa gayā vo kaise

ki jo nahīñ thā savāl meñ bhī

rahā mire saath merā allāh

uruuj dekhā zavāl meñ bhī

tumhī se hai ye tumhārā ‘jāzib’

jahān-e-auj-e-kamāl meñ bhī

Leave a Comment