• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ghazab Hai dekhne Mein Achchhi Surat Aa Hi Jati Hai

Ghazab Hai dekhne Mein Achchhi Surat Aa Hi Jati Hai

poet

ghazab hai dekhne men achchhi surat aa hi jaati hai

nahin roke se dil rukta tabiat aa hi jaati hai

bhara hai dil hamara doston ki bevafai se

kahan tak zabt baton men shikayat aa hi jaati hai

padega tere ji men shak na sun ghammaz ki baten

hazar aina ho dil par kudurat aa hi jaati hai

ye kya maalum tha ye ishq saudai banega

kahin talti hai aane vaali aafat aa hi jaati hai

tilai rang par kyuun kar na un logon ko gharra ho

ye zar vo chehra hai khatir men nakhvat aa hi jaati hai

junun-e-ishq men har chand kuchh ghairat nahin lekin

jo koi taan karta hai hamiyat aa hi jaati hai

ajab rudad hai apni bayan karte hain ham jis se

nikal aate hain aansu us ko riqqat aa hi jaati hai

nikal jaae na kyuun kar shahr se majnun bayaban ko

bashar ko apni uryani se ghairat aa hi jaati hai

hansi achchhi nahin dekho tamiz is men nahin rahti

ki munh lag chalne men bose ki naubat aa hi jaati hai

lachakte hi kamar zulf-e-rasa ki jhonk lene se

asar maashuq-pan ka hai nazakat aa hi jaati hai

bahut apne ko shaista vo ghairon men banate hain

tabiat men jo garmi hai shararat aa hi jaati hai

kahan tak nek sohbat ka asar hoga na insan ko

mile tanba jo sone se to rangat aa hi jaati hai

khuda surat na dikhlae mujhe atish-izaron ki

hazar un se hai dil thanda hararat aa hi jaati hai

dua-e-maghfirat jab mangte hain us se ro ro kar

barabar josh men khaliq ki rahmat aa hi jaati hai

koi mahbub us ki jaan ka saail jo hota hai

jhuka leta hai ‘bahr’ ankhen muravvat aa hi jaati hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

zaKHmi Din Aur Raat Rahenge Kitne Din

ahmad-rahi

Main dil-Zada Hun Agar dil-Figar Wo Bhi Hain

mubarak-azimabadi

Ab Kaun Baat Rah Gai Ye Baat Bhi Gai

ahmad-rahi

Tawil Raaton Ki Khamushi Mein Meri Fughan Thak Ke So Gai Hai

poet

Husn KHud Ban Gaya Tamashai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet