ghaza to tira utar gaya tha
main dekh ke ḳhud ko Dar gaya tha
is shahr men raste ka patthar
main jangalon se guzar gaya tha
tahrir-e-jabin miTi hui thi
taqdir ka zaḳhm bhar gaya tha
be-nur thi jhiil bhi kanval se
suraj bhi ḳhala men mar gaya tha
ehsas shabab gham mohabbat
ek ek nasha utar gaya tha
dil ko vo sukun mila tire paas
jaise main nagar nagar gaya tha
kya chiiz thi bad-e-sub.h-gahi
ru-e-gul-e-tar nikhar gaya tha
hamrah the an-ginat zamane
main dasht se apne ghar gaya tha
nazron ka milap kaun bhule
ik saneha sa guzar gaya tha
iqrar-e-vafa kiya tha us ne
main fart-e-ḳhushi se mar gaya tha
‘siddiq’ chali thi tez andhi
miTTi ka badan bikhar gaya tha
Leave a Reply