tamam umr-e-ravan ka maal hairat hai
javab jis ka nahin vo saval hairat hai
dukan-e-chashm yahan be-misal hairat hai
is aaine ka sarasar kamal hairat hai
ye zindagi to tire saath saath khatm hui
jo mujh men baaqi hai vo la-zaval hairat hai
vo khvab aise the taabir in ki thi hi nahin
ramida hijr gurezan visal hairat hai
hui tilism-zada jab ye aaine ne kaha
yahan to saare ka saara jamal hairat hai
adam vajud adam uf ye silsile kaise
main lut gai huun magar mala-mal hairat hai
ye kaenat hai hairan apne hone pe
qadam qadam pe yahan mahv-e-hal hairat hai
Leave a Reply