kahne lagī hai mujh se havā kuchh huā to hai
sunñe meñ aa rahī hai sadā kuchh huā to hai
mahsūs kar rahā huuñ zamīñ kī namī ko maiñ
din raat ro rahī hai havā kuchh huā to hai
laḌkī uThā ke haath falak dekhne lagī
rūThā huā hai kyā ye ḳhudā kuchh huā to hai
mad.hosh ho rahā huuñ badan ko sambhāl tū
kyā aa rahī hai koī qazā kuchh huā to hai
mujh ko nikalnā aaj mere jism se paḌā
maiñ hī havā huuñ mujh se judā kuchh huā to hai
kaliyāñ sisak ke rone lagī chāñd raat meñ
aur peḌ de rahā hai sadā kuchh huā to hai
rotā huā jo dekhā use dasht-gāh meñ
tanhā.iyoñ ne mujh se kahā kuchh huā to hai
murshid hī jāntā hai ke kyā hādsa huā
murshid hī ne ye mujh se kahā kuchh huā to hai
mujh ko paḌā milā hai vo majdhār meñ to phir
paanī pe hai ye kis ne likhā kuchh huā to hai
koī nahīñ thā jo kī sune us kī baat ko
āḳhir vo boltā hī rahā kuchh huā to hai
āvāz aa rahī hai koī chīḳhtī huī
‘arpit’ nikal ke dekh zarā kuchh huā to hai