haq fat.h-yab mere ḳhuda kyuun nahin hua
tu ne kaha tha tera kaha kyuun nahin hua
jab hashr isi zamin pe uTha.e ga.e to phir
barpa yahin pe roz-e-jaza kyuun nahin hua
vo sham.a bujh ga.i thi to kohram tha tamam
dil bujh ga.e to shor-e-aza kyuun nahin hua
vamandgan pe tang hui kyuun tiri zamin
darvaza asman ka va kyuun nahin hua
vo sho.ala-saz bhi isi basti ke log the
un ki gali men raqs-e-hava kyuun nahin hua
aḳhir isi ḳharabe men zinda hain aur sab
yuun ḳhaak koi mere siva kyuun nahin hua
kya jazb-e-ishq mujh se ziyada tha ghair men
us ka habib us se juda kyuun nahin hua
jab vo bhi the gulu-e-burida se nala-zan
phir kushtagan ka harf rasa kyuun nahin hua
karta raha main tere liye doston se jang
tu mere dushmanon se ḳhafa kyuun nahin hua
jo kuchh hua vo kaise hua janta huun main
jo kuchh nahin hua vo bata kyuun nahin hua
Leave a Reply