ghamon se rishta hai apna bhi dosti ki tarah
mile hain ashk bhi ham ko yahan hansi ki tarah
karam ki zahmat-e-be-ja ka shukriya lekin
tumhare dard ko chaha hai zindagi ki tarah
main apna dard liye ab kahan kahan ja.un
mujhe rafiq bhi milte hain ajnabi ki tarah
sharif log bhi hote hain maslahat ka shikar
ujale aaj bhi milte hain tirgi ki tarah
ye kis ne sham.en jala.i hain apni yadon ki
andhere ghar men hai ye kaun raushni ki tarah
kisi ḳhayal men akasr shagufta rahta huun
koi ḳhayal hai phulon ki tazgi ki tarah
ye aur baat ki ab main ‘ra.is’-e-mahfil huun
gharib-e-shahr kabhi tha men aap hi ki tarah
Leave a Reply