• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ghamon Mein Kuchh Kami Ya Kuchh Izafa Kar Rahe Hain

Ghamon Mein Kuchh Kami Ya Kuchh Izafa Kar Rahe Hain

ghamon men kuchh kami ya kuchh izafa kar rahe hain

samajh men kuchh nahin aata ki ham kya kar rahe hain

jo aata hai nazar men us ko le aate hain dil men

na.i tarkib se ham ḳhud ko tanha kar rahe hain

nazar karte hain yuun jaise bichhaḌne ki ghaḌi ho

suḳhan karte hain aise jaise girya kar rahe hain

tumhare hi ta.alluq se to ham hain is badan men

tumhare hi liye to ye tamasha kar rahe hain

zaval-e-amadgi ab gunjti hai dhaḌkanon men

so dil se ḳhvahishon ka bojh halka kar rahe hain

suḳhan tum se ho ya ahbab se ya apne dil se

yahi lagta hai ham har baat beja kar rahe hain

tumhari aarzu hone se pahle bhi to ham the

so jaise ban paḌe ab bhi guzara kar rahe hain

zara puchhe koi ma.adum hote in dukhon se

hamen kis ke bharose par akela kar rahe hain

hamen roke hue hai pas-e-namus-e-mohabbat

ye mat samjho ki ham duniya ki parva kar rahe hain

ba-juz-sina-ḳharashi kuchh nahin aata hai lekin

zara dekho to ham ye kaam kaisa kar rahe hain

hamen is kaam ki mushkil ka andaza hai sahab

baḌe arse se ham bhi tark-e-duniya kar rahe hain

jo hogi sub.h to taqsim ho ja.enge phir ham

Dhali hai shaam to ḳhud ko ikaTTha kar rahe hain

junun se itna derina ta.alluq toḌ denge?

are tauba karen ‘irfan’, ye kya kar rahe hain

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Sheikh Saadi

Story 11 – The Morals Of dervishes – Gulistaan-e-Sa.Adii

Koi to Shakl Mohabbat Mein Sazgar Aae

poet

Tum Ghair Se Milo Na Milo Main To Chhod dun

puja-bhatia

Jaan Ye Intizar Kaisa Hai

Koi Bhi Shai Ho Miyan Jaan Se Pyari Kise Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet