gham men ik lutf-e-shadmani hai
Thokaron men bhi kamrani hai
sirf ik ishq ghair-fani hai
varna har chiiz ani-jani hai
jo nahin ashna mohabbat se
dil pe us but ki hukmarani hai
maut aur zindagi men hai ye farq
ik haqiqat hai ik kahani hai
yaad teri hai ziist ka hasil
gham tira vaj.h-e-shadmani hai
chashm-e-pur-nam ye meri ḳhamoshi
dil ke zaḳhmon ki tarjumani hai
kya bura jo kisi ke kaam aa.e
jaan ik din to ḳhair jaani hai
jaan hai aTki labon par ai ‘asi’
charasazon ki mehrbani hai
Leave a Reply