gham ke sunsan bayaban se nikalta hi nahin
dil mira dard ke tufan se sambhalta hi nahin
ishq ki atish-e-ḳhamosh hai kab se raushan
magar ehsas ka sho.ala hai ki jalta hi nahin
har taraf dhund hai ashkon ki faravani se
dil-e-betab sarabon se bahalta hi nahin
talḳhiyan ahl-e-zamana se vo jheli hain na puchh
dil mira fasl-e-baharan men machalta hi nahin
kab se halat-e-zamana hain digar-gun lekin
dil ka mausam kisi halat men badalta hi nahin
kya kahun darpai-e-azar hai duniya ‘shahin’
aadmi qaid-e-zamana se nikalta hi nahin
Leave a Reply