gham ke har ik rang se mujh ko shanasa kar gaya
vo mira mohsin mujhe patthar se hiira kar gaya
ghurta tha main khala men to saji thiin mahfilen
mera ankhon ka jhapakna mujh ko tanha kar gaya
har taraf udne laga tarik sayon ka ghubar
shaam ka jhonka chamakta shahar maila kar gaya
chaat li kirnon ne mere jism ki saari mithas
main samundar tha vo suraj mujh ko sahra kar gaya
ek lamhe men bhare bazar sone ho gae
ek chehra sab purane zakhm taaza kar gaya
main usi ke rabte men jis tarah malbus tha
yuun vo daman khinch kar mujh ko barahna kar gaya
raat bhar ham raushni ki aas men jaage ‘adim’
aur din aaya to ankhon men andhera kar gaya
Leave a Reply