gham hai vahin pa gham ka sahara guzar gaya
dariya thahar gaya hai kinara guzar gaya
bas ye safar hayat ka itni si zindagi
kyuun itni jaldi rasta saara guzar gaya
vo jis ki raushni se chamakna tha bakht ko
kis asman se vo sitara guzar gaya
kya zikr us ghadi ka kadi thi ki sahl thi
jo vaqt jis tarah bhi guzara guzar gaya
tafhim-e-dosti men badi bhuul ho gai
phir duur se hi dost hamara guzar gaya
kar ke yaqin phir se ki main mushkilon men huun
thahra nahin vo shakhs dobara guzar gaya
ik vaqt khush-nasib sa aaya to tha ‘adim’
maddham si ik sada men pukara guzar gaya
mujrim hua tha aankh jhapakne ka main ‘adim’
jo zehn men basa tha nazara guzar gaya
Leave a Reply