akele ko bhi aati hai hansi kya
kisi ki yaad ne ki gudgudi kya
nazar aane lage har haal men tum
hamen ab kya andhera raushni kya
ye kam-kam rabta bhi ḳhatm samjhun
yahi hai aap ka ḳhat aḳhiri kya
bane jab tak na sanson ka tavazun
nacha.un ungliyon par bansuri kya
vakalat tera pesha hai to ‘badal’
karega jhuuT ki bhi pairvi kya
Leave a Reply