gham-e-hijr ke gae din guzar hua akhir apna visal hi
pa ye kya ghazab hai pae-khuda tujhe aaj tak hai malal hi
hai anokha us ka jamal hi na vo badr hai na hilal hi
nahin banti koi misal hi balaghul-ula-be-kamalehi
miri aah ne ye kiya asar ki vo aan kar hue jalva-gar
shab-e-tar-e-hijr hui sahar kashafudduja-be-jamalehi
hai usi ki shaan men la-fata hai usi ki shaan men hal-ata
hai usi ki shaan men innama-hasonat-jamio-khisalehi
main saval-e-vasl huun kar raha vo ye kahta hai ki na manunga
ye ajab tarah ka hai makhmasa ki na hijr hai na visal hi
mujhe kis tarah na khayal ho ki na ‘anjum’ un ko malal ho
kisi baat ka jo saval ho nahin utni apni majal hi
Leave a Reply