ghar men bechaini ho to agle safar ki sochna
phir safar nakam ho jaa.e to ghar ki sochna
hijr men imkan itne vasl sirf ik vaqi.a
vus.at-e-sahra men kya divar-o-dar ki sochna
ya.ani ghar aur dasht donon lazim-o-malzum hain
qa.eda ye hai idhar rahna udhar ki sochna
is tarah jiina ki auron ka bharam qaa.em rahe
maut bar-haq hai magar us chara-gar ki sochna
zindagi bhar zinda rahne ki yahi tarkib hai
us taraf jaana nahin bilkul jidhar ki sochna
tum shuja-ḳhavar ho duniya-dar aur main jan-dar
main to bas aa.hen bharunga tum asar ki sochna
Leave a Reply