abhi hai dhyan kahan vasl ke farizon par
abhi vo kaḌhti phirti hai dil qamizon par
qayam karta huun akasr main dil ke kamre men
ki jam na jaa.e kahin gard us ki chizon par
yahi to log masiha hain zindagani ke
hazar rahmaten hon ishq ke marizon par
kisi anar-kali ke ḳhayal men ab tak
ghulam-gardishen matam-kunan kanizon par
jala rahi hai mire badalon ke pairahan
phuvar girti hui malmalin qamison par
ghazal kahi hai kisi be-charagh lamhe men
shab-e-firaq ke kajal-zada azizon par
ki kis dayar men rahna hai kis ne kitne din
musafiron ke ye likkha gaya hai vison par
vo ghaur karti rahi hai tamam din ‘mansur’
mire libas ki uljhi hui krizon par
Leave a Reply