gham bhi utna nahin ki tum se kahen
aur chara nahin ki tum se kahen
aaj ham be-karan samundar hain
tum vo dariya nahin ki tum se kahen
yuun to marne se chain milta hai
ye irada nahin ki tum se kahen
niili ankhon ki chandni ke liye
ab andhera nahin ki tum se kahen
tum akele nahin rahe to kya
ham bhi tanha nahin ki tum se kahen
ab na vo gham ki apne haath ‘obaid’
shabnam-asa nahin ki tum se kahen
Leave a Reply