ghairon pe khul na jaae kahin raaz dekhna
meri taraf bhi ghamza-e-ghammaz dekhna
udte hi rang-e-rukh mira nazron se tha nihan
is murgh-e-par-shikasta ki parvaz dekhna
dushnam-e-yar tab-e-hazin par giran nahin
ai ham-nafas nazakat-e-avaz dekhna
dekh apna hal-e-zar munajjim hua raqib
tha sazgar tala-e-na-saz dekhna
bad-kam ka maaal bura hai jaza ke din
hal-e-siphar-e-tafraqa-andaz dekhna
mat rakhiyo gard-e-tarik-e-ushshaq par qadam
pamal ho na jaae sar-afraz dekhna
meri nigah-e-khira dikhate hain ghair ko
be-taqati pe sarzanish-e-naz dekhna
tark-e-sanam bhi kam nahin soz-e-jahim se
‘momin’ gham-e-maal ka aghaz dekhna
Leave a Reply