juun hi sar se chadar sarki
unchi huiin fasilen ghar ki
dekh musavvir gahra paani
aur tasvir bana andar ki
umr pe taari ho jaati hai
nabz kabhi ik lamhe bhar ki
tariki hi tariki hai
bujhe kaun paheli Dar ki
saare aansu pi jaati hai
maan si aadat hai chadar ki
raste men dil haar aa.e hain
ḳhaak kahin rudad safar ki
yaar ‘shumama’ dekh sanbhal kar
kanch hai tu duniya patthar ki
Leave a Reply