mohabbat ka diya aise bujha tha
hava ke dosh par rakkha hua tha
sitara tuut kar jab bhi gira tha
ajab dhadka sa dil ko lag gaya tha
ajab vahshat thi tere aaine men
jahan har aks hi tuuta hua tha
lipat kar chand se rone laga tha
sitara tuut kar dar sa gaya tha
use thi chand taron ki talab aur
hamare paas to bas ik diya tha
hazaron rang the ik aarzu ke
magar mujh ko to us ne khud chuna tha
kisi ahd-e-vafa ka haath thame
koi ik mod par rota raha tha
kisi ko dosh kya den dubne ka
bhanvar jo paanv se lipta hua tha
ajab be-faiz thi ye bhi mohabbat
baharon men khizan ka ruup sa tha
udhar se dhuup ko aane na dunga
tujhe kuchh yaad hai tu ne kaha tha
vahi tishna-labi ankhon men sahra
vahi mizhgan pe ik aansu dhara tha
Leave a Reply