kya se kya ho ga.i is daur men halat ghar ki
dasht pur-nur hue baḌh ga.i zulmat ghar ki
ab na darvaze ki raunaq na vo angan ka hujum
kis qadar baar hai ankhon pe ziyarat ghar ki
sab ki dahliz pe jalte hain ta.assub ke charagh
kya karega koi aise men hifazat ghar ki
ḳhamushi farzi rivayat inayat isar
inhen buniyadon pe mauquf hai azmat ghar ki
jin ke hisse men koi saya-e-divar nahin
vo bhi insan hain unhen bhi hai zarurat ghar ki
laakh qismat men gharib-ul-vatani ho ‘rahbar’
khinch laa.i hai magar phir bhi mohabbat ghar ki
Leave a Reply