ghair ke haath men us shokh ka daman hai aaj
main huun aur haath mira aur ye gareban hai aaj
latpati chaal khule baal khumari ankhiyan
main tasadduq huun miri jaan ye kya aan hai aaj
kab talak rahiye tire hijr men paband-e-libas
kijiye tark-e-taalluq hi ye arman hai aaj
aaine ko tiri surat se na ho kyuun kar hairat
dar o divar tujhe dekh ke hairan hai aaj
ashiyan baagh men abad tha kal bulbul ka
haae ‘taban’ ye sabab kya hai ki viran hai aaj
Leave a Reply