ghaḌi bhar rang nikhra surat-e-gul-ha-e-tar mera
usi hasti pe us gulshan men tha ye shor-o-shar mera
nizam-e-bazm-e-duniya hashr ke maidan ka naqsha hai
yahi hai shamat-e-isyan bhaTakna dar-ba-dar mera
samajhta huun vasila maghfirat ka sharm-e-isyan ko
ki ashkon se mire dhul ja.ega daman-e-tar mera
faza-e-ka.aba-e-at.har ka naqsha aankh se dekhun
ilahi is hava men ḳhushk ho daman-e-tar mera
dar-e-ka.aba pe jab sajde kiye avaz ye aa.i
buton ki Thokaren kha kar tujhe sujha hai ghar mera
naqab-e-husn jab uTTha to ankhen khul ga.iin meri
farogh-e-husn tha dam-bhar ko manind-e-sharar mera
use parde men rah kar bhi ḳhayal aata hai rah rah kar
ki raaz ifsha na kar de ḳhalq men husn-e-bashar mera
guzar kar ḳhana-e-dil se baḌhun kyuun tuur ki janib
ki barq-e-husn se jalne ko hai maujud ghar mera
sanam qadmon pe girte hain zabanen band rahti hain
buton par ro.ab hai allahu-akbar is qadar mera
mohabbat ki har ik manzil pe sahra-e-adam nikla
ḳhizar bhi saath de sakte nahin har gaam par mera
farishte bhi na samjhe aaj tak meri haqiqat ko
ki taj-e-ashraf-e-maḳhluq ki zinat hai sar mera
zaban par zikr jaari tha barabar hamd-e-ḳhaliq ka
azal men kaam Thahra mid.hat-e-ḳhairul-bashar mera
zaban-e-sham.a main ne kaaT li hai bad-guman ho kar
ki raaz ifsha na kar de sub.h ko sham-e-sahar mera
miri hasti se pahle kaun samjha sirr-e-vahdat ko
rahega tazkira dair-o-haram men umr-bhar mera
vo qatra huun ki jis ki mauj men bahr-e-haqiqat hai
vo zarra huun ki munh takte hain ḳhurshid-o-qamar mera
dil-e-majruh ki halat pe rahm aaya masiha ko
dava ke naam par hansne laga zaḳhm-e-jigar mera
zara piine to de saaqi sharab-e-ma.arifat mujh ko
udhar phir ja.ega qibla bhi ruḳh hoga jidhar mera
sada-e-kalematul-haq men tiri tahrik shamil hai
anal-haq kahta hai har qatra-e-ḳhun-e-jigar mera
yahi surat hai ab taqdir ke chakkar nikalne ki
ilahi astana ho haram ka aur sar mera
tujhe ai charḳh kya malum rutba dard-e-ulfat ka
karega naam raushan ḳhalq men dagh-e-jigar mera
tamanna hai ki ‘rasiḳh’ hamd-goi ke vasile se
riyaz-e-dahr men naḳhl-e-suḳhan ho bar-var mera
Leave a Reply