• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Gaya Ab Aaftab-E-Hashr Ka Bhi Jalwa-Gar Hona

Gaya Ab Aaftab-E-Hashr Ka Bhi Jalwa-Gar Hona

poet

gaya ab aftab-e-hashr ka bhi jalva-gar hona

shab-e-furqat hamari hai ye kya jaane sahar hona

vahan ja kar mire nalon ka yarab be-asar hona

qayamat tha kisi ka raat ko dushman ke ghar hona

bahut achchhe hain jin par zulm hote hain zamane ke

isi ko ahl-e-dil kahte hain manzur-e-nazar hona

ḳhayal ik naznin ka dil men phir rah rah ke aata hai

zara siine men ab tham tham ke o dard-e-jigar hona

hazaron neshtar paivast hon jis ki rag-e-jan men

use dushvar hai marhun-e-sa.i-e-charagar hona

ye kya kam hai mili qaid-e-qafas se mujh ko azadi

mere kaam aa gaya aḳhir mira be-bal-o-par hona

bahut hi ibrat-angez aur hasrat-ḳhez manzar hai

lahad par ek be-kas ke kisi ka nauhagar hona

irade ḳhushk zahid hauz-e-mai ho ja.enge ḳhali

koi asan hai ai ‘safdar’ tere daman ka tar hona

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Kya Hue Aashiq Us Shakar-Lab Ke

poet

Pi Ke Kar Leta Hun Tauba Jab Se Ye dastur Hai

mirza-ghalib

dekhna Qismat Ki Aap Apne Pe Rashk Aa Jae Hai

Main Hun Meri Chashm-E-Tar Hai Raat Hai Tanhai Hai

Taq Mein Kaun Rakh Gaya Ek Diya Aur Ek Phul

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet