gareban phadte hain dekh khuban-e-chaman kyuun kar
na kiije chaak naseh is hava men pairahan kyuun kar
kare mehnat koi lazzat uthave yaar se koi
kaho apne taiin zaaea na karta kohkan kyuun kar
na do ai gul-rukhan taklif mujh ko sher-khvani ki
kaho bin fasl-e-gul koi kare divana-pan kyuun kar
hua jaata huun gaz saaya pe padti hai nazar meri
teri saj dekh kar ahbab jiite hain sajan kyuun kar
taajjub sakht rahta hai ‘yaqin’ is baat ka mujh ko
ki itna bolte hain talkh ye shirin-dahan kyuun kar
Leave a Reply