Parai Aag Mein Yun Jal-Bujhe Sharar Mere

parā.ī aag meñ yuuñ jal-bujhe sharar mere

khule na mujh pe bhī ahvāl beshtar mere

hai zard reñgte sāyoñ kī zad meñ shāḳh-e-gulāb

tum aa.e ho bhī to kis rut meñ aaj ghar mere

sazā vajūd se bhī qabl ho chukī maqsūm

ḳhabar na rakh mirī is darja be-ḳhabar mere

chhatoñ pe sāya-kunāñ bel jal ga.ī hogī

sulag uThe haiñ kuchh is taur bām-o-dar mere

hamāre beach sarāboñ kā ek rishta thā

kahāñ bichhaḌ ga.e sahrā meñ ham nazar mere

vo raakh bantī huī guuñj meñ sitāra-bār

sirhāne kaun pareshāñ thā rāt-bhar mere

utar rahī thī kiran barf kī chaTānoñ par

chalā gayā vo mujhe ḳhvāb sauñp kar mere

guzar ga.ī shab-e-yaldā to ye huā ma.alūm

surañg paar bhī dushman the ham-safar mere

dayār-e-bād-e-junūb ai dayār-e-bād-e-junūb

tujhe sukūn to hai gul bikher kar mere

maiñ taaq taaq huuñ ‘shāhīn’ kab se sham.a-ba-kaf

ki ziina ziina vo utre kabhī to ghar mere

Leave a Comment