gareban ko junun men ta-ba-daman chaak hona tha
javab-e-jada-e-sahra-e-vahshat-nak hona tha
taghaful ke gile sun kar jhuka liin tum ne kyon ankhen
mire sharminda karne ko zara bebak hona tha
nigah-e-garm ki bijli se jalna tha muqaddar men
kisi ko aag hona tha kisi ko ḳhaak hona tha
jo ankhen puchhtin us ki to dil mera bata deta
yahan sharma ke jhukna tha yahan bebak hona tha
taḌap dil ki dikhana tha ‘jalal’ un shoḳh-chashmon ko
vahin ki baḳht ne susti jahan chalak hona tha
Leave a Reply