gardish-e-jam nahin gardish-e-ayyam to hai
sai-e-nakam sahi phir bhi koi kaam to hai
dil ki betabi ka akhir kahin anjam to hai
meri qismat men nahin dahr men aram to hai
mail-e-lutf-o-karam husn-e-dil-aram to hai
meri khatir na sahi koi sar-e-bam to hai
tu nahin mera masiha mira qatil hi sahi
mujh se vabasta kisi taur tira naam to hai
halqa-e-mauj men ik aur safina aaya
sahil-e-bahr pe kohram ka hangam to hai
tang-dasto tahi-damano karo shukr-e-khuda
mai-e-gulfam nahin hai shafaq-e-sham to hai