pal bhar use rula kar dekh
saara din pachhta kar dekh
patthar-dil thoḌa hai vo
banhen to phaila kar dekh
mumkin hai gham bah nikle
naina niir baha kar dekh
tujh bin kitna tanha huun
jaane vaale aa kar dekh
kya se kya ho jaana hai
patta ḳhushk uTha kar dekh
Leave a Reply