gardish-e-dauran se yahan kis ko faragh aaya hai haath
haan magar aaya to ik hasrat ka daagh aaya hai haath
nauha-sanji ki bhi mohlat andalibon men nahin
baghban qismat se kya hai be-dimagh aaya hai haath
umr guzri justaju-e-kucha-e-dil-dar men
va.e-nakami pas-az-murdan suragh aaya hai haath
dil ke daghon ne kiya ham ko chaman se be-niyaz
mannaten maani hain barson tab ye baagh aaya hai haath
daagh dil par naala lab par chashm giryan siina riish
‘ashiq’-e-shorida ko kis dam faragh aaya hai haath
Leave a Reply