gard kaisi hai ye dhuan sa kya
ja raha hai vo karvan sa kya
ho gaya koi mehrban sa kya
ranj ka bandh gaya saman sa kya
tak rahe hain khala men ham kis ko
ban raha hai vo ik nishan sa kya
silsila kuchh udasiyon ka bhi
jagmagata hai kahkashan sa kya
ham bhi achchhe hain dard bhi kam hai
dil se uttha magar dhuan sa kya
kaise tuute sukut-e-sham-e-firaq
har taraf shor-e-be-aman sa kya
ye mohabbat hai ya hai koi tilism
pichha karta hai ik guman sa kya
Leave a Reply