bikti nahin faqir ki jholi hi kyuun na ho
chahe ra.is-e-shahr ki boli hi kyuun na ho
ehsan-e-rang ghair uThate nahin kabhi
apne lahu se khel vo holi hi kyuun na ho
sach to ye hai ki haath na aana kamal hai
duniya se khel ankh-micholi hi kyuun na ho
hai asman vasi.a zamin tang hi sahi
ta.amir kar kahin koi kholi hi kyuun na hu
haq par jo hai vahi sar o shana buland hai
hai varna be-bisat vo Toli hi kyuun na ho
dariya ki kya bisat ki mujh ko Dubo sake
kashti kahin kahin miri Doli hi kyuun na ho
talḳhi men bhi maza hai jo tu ḳhush-mazaq hai
pak jaa.e to bhali hai nimoli hi kyuun na ho
kuchh to hadis ‘ḳhair’ samajhne ke kar jatan
har-chand be-maza miri boli hi kyuun na ho
Leave a Reply