Gar Bade Mard Ho To Ghair Ko Yan Ja dije

gar bade mard ho to ghair ko yaan ja diije

us ko kah dekhiye kuchh ya mujhe uthva diije

kaun aisa hai jo chhede hai tumhen raah ke biich

main samajh lunga tuk us ko mujhe batla diije

dil o jaan o khirad o diin pahle hi din de baithe

aaj hairan huun ki aata hai use kya diije

kya hua haal bhala dekh to mujh be-dil ka

na kabhi dilbari kiije na dilasa diije

daava-e-rustami karte to hain par ik dam men

chhin luun tegh-o-sipar un ki jo farma diije

gum hua hai abhi yaan gauhar-e-dil ai khuban

haath lag jaave tumhare to mujhe pa diije

bevafa dushman-e-mehr afat-e-jan sangin-dil

haif ‘bedar’ ki aise ko dil apna diije

Leave a Comment