• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Muft Hai KHun-E-Jigar Azmat-E-Kirdar Ke Sath

Muft Hai KHun-E-Jigar Azmat-E-Kirdar Ke Sath

poet

muft hai ḳhun-e-jigar azmat-e-kirdar ke saath

ashk milte hain yahan dida-e-bedar ke saath

ham ne manga tha sahara to mili is ki saza

ghaTte baḌhte rahe ham saya-e-divar ke saath

aaj to hazrat-e-naseh bhi lipaT kar mujh se

raqs karte rahe zanjir ki jhankar ke saath

dil-e-barbad pe hai saya-fagan yaad tiri

saya-e-fazl-e-ḳhuda jaise gunahgar ke saath

dil men us shahr ke kuchh aks abhi baaqi hain

luT ga.e ham bhi jahan garmi-e-bazar ke saath

aisi basti se to vo dasht kahin behtar tha

aable mil ke jahan rote the har ḳhaar ke saath

ab to ik ḳhvab si lagti hai haqiqat ye bhi

rabt tha ham ko kisi yar-e-tarah-dar ke saath

dil men mere bhi yaqin aur guman saath rahe

jaise inkar tire lab pe hai iqrar ke saath

aise anmol na the ham ki na bikte lekin

do qadam chal na sake apne ḳharidar ke saath

hasil-e-fan hain ‘faridi’ vahi ash.ar-e-ghazal

ḳhun-e-dil jin men ho rangini-e-afkar ke saath

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Koi Naghma Banun Chandni Ne Kaha Chandni Ke Liye Ek Taza Ghazal

KHwab Ka KHwab Haqiqat Ki Haqiqat Samjhen

Sheikh Saadi

Story 40 – The Manners Of Kings – Gulistaan-e-Sa.Adii

naz-butt

Tera Nasib Banun Teri Chahaton Mein Rahun

akhtar-ul-iman

Faisla

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet