ai sitam-azma jafa kab tak
kushta-e-zindagi vafa kab tak
garmi-e-koshish-e-jafa kab tak
dava-e-shohrat-e-vafa kab tak
ai dil-e-zohd-ḳhu riya kab tak
na-muradana mudda.a kab tak
ek men mil gaya ḳhuda maara
yuun nibahega dusra kab tak
imtihan par ye imtihan ta-chand
aazma azma.ega kab tak
hasrat aa.egi dam men sau sau baar
ai havas shor-e-marhaba kab tak
qudrat-e-sabr aqibat kitni
jur.at-e-taqat-azma kab tak
tum samajh jaao meri ḳhamoshi
na kahun kahiye mudda.a kab tak
kijiye ab mire nibah ki fikr
yaar sabr-e-gurez-pa kab tak
ḳhvab men bhi vo a.enge ta-chand
main mila bhi to yuun mila kab tak
dil men kab tak tumhare khaTkunga
chashm-e-dushman men meri ja kab tak
tandurusti-e-dil hai be-jani
dard-e-be-dard ki dava kab tak
tark ki saaf us ne goya.i
nargis-e-surma-sa ḳhafa kab tak
ai dil-e-be-qarar-o-be-aram
naala ta-chand ta-kuja kab tak
ai ‘qalaq’ vasl men bhi huun nashad
tala-e-na-rasa rasa kab tak
Leave a Reply