Nafrat Jo Hai Dil Mein Lab-E-KHandan Mein Nahin Hai

nafrat jo hai dil meñ lab-e-ḳhandāñ meñ nahīñ hai

jo baat hai mazmūñ meñ vo unvāñ meñ nahīñ hai

kyā jāniye kal pichhle pahar kaisī havā thī

ḳhushbū kā pata aaj gulistāñ meñ nahīñ hai

ai masjid-e-aqsā tū jale aur maiñ dekhūñ

kyā azm-e-tahaffuz bhī nigahbāñ meñ nahīñ hai

matlūb hai vo jins jo nāyāb bahut hai

us chiiz kī ḳhvāhish hai jo imkāñ meñ nahīñ hai

jo soch sake mere liye merī tarah se

vo shaḳhs mire halqa-e-yārāñ meñ nahīñ hai

ai ‘rashk’ ho jis se dil-e-dariyā mutalātum

aisā koī andāz hī tūfāñ meñ nahīñ hai

Leave a Comment