karega yaad hamen duur ham agar jaa.en
is ishtiyaq men ji chahta hai mar jaa.en
ye kah raha tha hamen Dubta hua suraj
safar tamam hua apne apne ghar jaa.en
tulua-e-shams ki kirnon ne ye payam diya
ujale banTte jaa.en jidhar jaa.en
dikhate hain jo hamen aa.ina kabhi us men
ḳhud apne aks ko dekhen to aap Dar jaa.en
na paar lagne ki hasrat na Duub jaane ka gham
ḳhayal-e-yar ke dariya men jab utar jaa.en
ye ghaav hi to miri zindagi hain mere tabib
ḳhayal rakh ye mire zaḳhm hi na bhar jaa.en
Leave a Reply