ye junun hi sahi puura magar arman kar do
apne hathon se mira chaak gareban kar do
baat to jab hai ki begana-e-darman kar do
ab pareshan hi kiya hai to pareshan kar do
nashtar-e-nim-nigahi ki qasam hai tum ko
dil ke har zaḳhm ko tasvir-e-gulistan kar do
tum sama jaao miri ruuh men naghma ban kar
aao saz-e-dil-e-ghamgin ko ghazal-ḳhvan kar do
ya to tum hadd-e-ta.ayyun pe raho jalva-faroz
ya miri tab-e-nazar ta-had-e-imkan kar do
naza.a ka vaqt hai aa jaao ayadat ke liye
tum ‘shifa’ par dam-e-aḳhir yahi ehsan kar do
Leave a Reply