Ganwa Ke Dil Sa Guhar Dard-E-Sar KHarid Liya

gañvā ke dil sā guhar dard-e-sar ḳharīd liyā

bahut garāñ thā ye saudā magar ḳharīd liyā

amīn-e-ishq ne dil-e-be-ḳhatar ḳharīd liyā

ye aa.ina ma-e-ā.īna-gar ḳharīd liyā

ġhazab thā ishq kā saudā ki ahl-e-hosh ne bhī

jo kuchh nasīb thā sab bech kar ḳharīd liyā

bhalā ho ġham kī tunuk-zarfī-e-tabī.at kā

agarche baat gañvā dī asar ḳharīd liyā

rah-e-razā meñ hai ḳhūnī-kafan se shān-e-shahīd

to jaan bech ke raḳht-e-safar ḳharīd liyā

jo dil kahe na kahūñ vo jo tū kahe vo kahūñ

to kyā zamīr bhī ai hīla-gar ḳharīd liyā

talāsh-e-aish meñ ai ‘ārzū’ hai rañj hī rañj

sitam-nasīb ye kyā dard-e-sar ḳharīd liyā

Leave a Comment