• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Gain Yaron Se Wo Agli Mulaqaton Ki Sab Rasmein

Gain Yaron Se Wo Agli Mulaqaton Ki Sab Rasmein

sheikh-ibrahim-zauq

gaiin yaron se vo agli mulaqaton ki sab rasmen

pada jis din se dil bas men tire aur dil ke ham bas men

kabhi milna kabhi rahna alag manind mizhgan ke

tamasha kaj-sirishton ka hai kuchh ikhlas ke bas men

tavaqqo kya ho jiine ki tire bimar-e-hijran ke

na jumbish nabz men jis ki na garmi jis ke malmas men

dikhae chira-dasti aah baladast gar apni

to maare haath daman-e-qayamat charkh-e-atlas men

jo hai gosha-nashin tere khayal-e-mast-e-abru men

vo hai bait-us-sanam men bhi to hai baitul-muqaddas men

kare lab-ashna harf-e-shikayat se kahan ye dam

tire mahzun-e-be-dam men tire maftun-e-bekas men

hava-e-ku-e-janan le ude us ko taajjub kya

tan-e-laghar men hai jaan is tarah jis tarah bu khas men

mujhe ho kis tarah qaul-o-qasam ka e’tibar un ke

hazaron de chuke vo qaul lakhon kha chuke qasmen

hue sab jama mazmun ‘zauq’ divan-e-do-alam ke

havas-e-khamsa hain insan ke vo band-e-mukhammas men

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Zaban Ko Band Karen Ya Mujhe Asir Karen

shabnam-shakeel

Mil Baithne Ke Sare Qarinon Ki Khair Ho

abrar-ahmad

Hawa Jab Tez Chalti Hai

Mehr-O-Mah Bhi Larzan Hain Faza Ki Banhon Mein

ahmad-nadeem-qasmi

Fan

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet