gaah bismil huun gahe takbir huun
apni main tadbir ka taqdir huun
mere dam se hai junun ki aabru
pasban-e-ḳhana-e-zanjir huun
be-ruḳhi par hai kaman taqdir ki
go sarapa navak-e-tadbir huun
dushmanon ke huun zarar ka sarnavisht
doston ke naf.a ki taqrir huun
hai ḳharabi raḳhna-andaz-e-bina
qasr-e-barbadi ka main ta.amir huun
qad tavazo.a men hai ḳham misl-e-kaman
rast-kari men misal-e-tir huun
main huun ik naqqash sha.ir ai ‘vaqar’
khinchta ash.ar ki tasvir huun
Leave a Reply